Social activist Mudasar Ali
Bani (Kathua) // Sub division Bani ke phadi gawun Lowang se Sarthal taqreeban 10km ki duri per waqa hai
Ye tourist place Bhaderwah Pathankot rabta sadak mein hi paya jata hai jo ke Bhaderwah se Sirf 40km ki duri per hi ye khubsurat mukam hai
Mein samajta hu Sarthal ek mini Kashmir se kam nahi hai
Yahan tourist Doda, Bhaderwah, Kathua, Jammu, Himachal, Punjab, Delhi aur bhi bahut sari jagahon se log Sarthal ka rukh karte hein lakin network connectivity na hone ki wajah se in tamam Tourist, Businessman, aur yahan ki local aawam ko bhi shadid pareshani ka samna karna parta hai
Sarthal helipad se le kar Chattargala tak is darmiyan mein mobile phone tower ki koi Soholiyat nahi hai
Aese mein khuda na Khuwasta agar yaha koi sadak hadsa ye phir koi aur musibat musaafiron ko aan parti hai toh vo kis se rabta karen
Aese hadsat yahan kiye baar ho chuke hein lakin aaj tak is taraf kisi ne bhi koi tawaja nahi di
Helipad se le kar Chattargala ki mustafa te karna apni jaan se khelna jesa hai
Kyun ki yaha per insan puri taraf se Dunyavi rabte se munkata ho jata hai
Aaj kal internet aesh o aaram hi nahi balke buniyadi zarurat mein se ek ban gaya hai
Is liye hamari Lieutenant Governor Shri Manoj Sinah sahab, aur hamare DC Kathua Shri Rakesh Minhas Sahab aur baki un tamam tele com companies ve officers se demand karta hein ki Sarthal mein mobile phone tower ko jald se jald instal kiya jaye take aawam ko rahat mil sake

A best news channel which publishes latest videos from Jammu and Kashmir which includes Politics, Public Grievances, Current affairs, Off-beat stories, Religion, etc. and We want to combine literature and journalism on one platform.